zaKHmon ki dukanon pe KHaridar bhi aae

zakhmon ki dukanon pe kharidar bhi aae
bazar hai to raunaq-e-bazar bhi aae

shanon pe yahan sar ki jagah kase lage hain
gar sar ki bahaali ho to dastar bhi aae

lo haq ke liye apni jaden chhod din hum ne
ab ghar se nikal kar koi ansar bhi aae

koshish ka ye chaak aur ghumaunga main kab tak
jiwan pe mere ab koi aakar bhi aae

kaam aaenge ye chaak-e-gareban ke rafu mein
kuchh gham nahin hisse mein agar khar bhi aae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close