zamane ke darbar mein dast-basta hua hai

zamane ke darbar mein dast-basta hua hai
ye dil us pe mail magar rafta rafta hua hai

achanak hi hathiyar wale nahin sakht-jaan ne
jigar waqt ke sath khasta shikasta hua hai

kahin andar andar sulagti thi chingari koi
magar hadsa aakhir-e-kar sham-e-guzishta hua hai

kai bar jallad ne khinch dekha hai us ko
magar munjamid dar ka sard takhta hua hai

khabar-dar rahne laga shahryar us se 'yasir'
qalam mere hathon mein khanjar ka dasta hua hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close