zamane se meri zinda-dili dekhi nahin jati

zamane se meri zinda-dili dekhi nahin jati
khushi ho dusron ki to khushi dekhi nahin jati

ilahi nur se raushan hain rahen us ke bandon ki
wo aisi raushni hai jo kabhi dekhi nahin jati

mohabbat hi se is duniya mein sare kaam chalte hain
kisi se kyon kisi ki dosti dekhi nahin jati

gharon ki shan-o-shaukat to gharon ki raushni se hai
magar jalte gharon ki raushni dekhi nahin jati

agar izzat hi lut jae to jina bojh lagta hai
kisi masum ki be-hurmati dekhi nahin jati

pila di mast aankhon se bachi na mai jo mina mein
ki saqi se meri tishna-labi dekhi nahin jati

sambhaalun hosh apne to sambhaalun dil jigar kaise
tumhaari muskuraati be-rukhi dekhi nahin jati

tabiat is qadar machli ke tauba tod di hum ne
karen kya hum se sawan ki jhadi dekhi nahin jati

khushi ke jashn mein sadme numayan aise hote hain
kisi ghamgin chehre par hansi dekhi nahin jati


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close