zamin ka aaKHiri manzar dikhai dene laga

zamin ka aakhiri manzar dikhai dene laga
main dekhta hua patthar dikhai dene laga

wo samne tha to kam kam dikhai deta tha
chala gaya to barabar dikhai dene laga

nishan-e-hijr bhi hai wasl ki nishaniyon mein
kahan ka zakhm kahan par dikhai dene laga

wo is tarah se mujhe dekhta hua guzra
main apne aap ko behtar dikhai dene laga

tujhe khabar hi nahin raat moajiza jo hua
andhere ko, tujhe chhu kar, dikhai dene laga

kuchh itne ghaur se dekha charagh jalta hua
ki main charagh ke andar dikhai dene laga

pahunch gaya teri aankhon ke us kinare tak
jahan se mujh ko samundar dikhai dene laga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close