zamin ke baad hum ab aasman na rakkhenge

zamin ke baad hum ab aasman na rakkhenge
khala rahega qadam hum jahan na rakkhenge

jawab dena padega hamein khamoshi ka
so tai kiya hai ki munh mein zaban na rakkhenge

kahin izafa kahin hazf to kahin tarmim
kahin ki ab wo meri dastan na rakhenge

tule hain hath jo wirse pe saf karne par
kisi bhi daur ka baqi nishan na rakkhenge

bata rahe hain hum ehsan jatane walon ko
jo sar pe bojh ho wo saeban na rakkhenge

numu ke waste koshan hain is yaqin ke sath
bade hue to hum is ka guman na rakkhenge

agar ho wajh-e-talluq to hum se dur raho
koi bhi fasla hum darmiyan na rakkhenge

jab apne ghar mein hi apni ana ko khatra hai
hum apne pas ye jins-e-giran na rakkhenge

kisi ne mara hai shab-khun aisa rahi par
ki ab wo subh talak tan mein jaan na rakkhenge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close