zamin ki aankh se manzar koi utarte hain

zamin ki aankh se manzar koi utarte hain
hawa ka aks chalo ret par ubhaarte hain

khud apne hone ka inkar kar chuke hain hum
hamari zindagi ab dusre guzarte hain

tumhaari jit ka tum ko yaqin aa jae
so hum tumhaare liye bar bar haarte hain

talash hai hamein kuchh gum-shuda bahaaron ki
guzar chuke hain jo mausam unhen pukarte hain

chamak rahe hain mere khema-e-sukhan har-su
harif dekhiye shab-khun kaise marte hain

ye kaisi hairaten darpesh hain aziz-'nabil'
zara thaharte hain aaseb-e-jaan utarte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close