zamin-nazhad hain lekin zaman mein rahte hain

zamin-nazhad hain lekin zaman mein rahte hain
makan nasib nahin la-makan mein rahte hain

wo dol dalen kisi kar-e-paedar ka kya
jo be-sabaati-e-umr-e-rawan mein rahte hain

hum aise ahl-e-chaman gosha-e-qafas mein bhi
hisab-e-khar-o-khas-e-ashiyan mein rahte hain

na bud-o-bash ko puchho ki hum faqir-manash
sukhan ke mabad-e-be-saeban mein rahte hain

kahan talash karoge hamein ki hum to mudam
huzuri-e-dil-e-be-khanuman mein rahte hain

nashe ki lahr mein khum khum lundha ke aab-e-hayat
sarab-e-zindagi-e-jawedan mein rahte hain

nai mohabbaten 'khalid' purani dostiyan
azab-e-kashmakash-e-be-aman mein rahte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close