zamin ne kar diya is tarah raegan mujhko

zamin ne kar diya is tarah raegan mujh ko
nazar na aaya kabhi dard aur dhuan mujh ko

talash karta hai ek dusra jahan mujh ko
adhura lagta hai ye jaan ka ziyan mujh ko

bichhe hue hain tasalsul se jalte bujhte charagh
hujum-e-lala-o-gul le gaya kahan mujh ko

bhatak rahe hain nazar mein nuqush-e-gard-o-baad
jaga ke chhod gae pa-e-raftagan mujh ko

khud apni lauh-e-tamanna pe khil ke dekhunga
kisi ke jabr ne likkha tha raegan mujh ko

ye kis ke izn-o-raza se bahak rahe hain badan
fareb-rang na de paya ye jahan mujh ko

siwa-e-huzn-o-hazimat jagah nahin dil mein
agar wo pher bhi de lashkar-o-nishan mujh ko

kisi ke bas mein nahin hai kushad-e-qalb-o-nigah
mila tha apni hi qismat ka saeban mujh ko

hate ye ghaza-e-shab-rang to use dekhun
pasand hi nahin aaina darmiyan mujh ko

tamam bar-e-alam dafatan gira sar se
ye raste mein mila kaun na-gahan mujh ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close