zamin ne un ko sambhaala jo aasman se gire

zamin ne un ko sambhaala jo aasman se gire
kahan hai un ka sahaara jo khak-dan se gire

jo mutmain hain bulandi pe nakhl-e-khurma ki
us aasman ko dekhen kabhi jahan se gire

ab us ko dekh ke hi dil ko khauf aata hai
buland-baam the hum kis qadar kahan se gire

shikasta sang bade aastan ke waris hain
ki tha maqam-e-mualla ye but jahan se gire

jinhen nasib ne di eqtidar ki masnad
unhen hai zoam the na-ahl jo yahan se gire


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close