zamin pe aane se sanson ke ruTh jaane tak

zamin pe aane se sanson ke ruth jaane tak
ye ek safar hai musalsal qaza ke shane tak

jo kaenat pe haq apna man baithe the
unhen bhi aana pada aakhiri thikane tak

zamin pe dil ki mohabbat jawan hoti rahi
wafa ki dhup pe baadal jafa ke chhane tak

phir us ke baad hua kya mujhe nahin malum
main hosh mein rahi but ko khuda banane tak

suna hai aap inayat sabhi pe karte hain
kabhi to aaen hamare gharib-khane tak

nahin hai umr koi tai kisi bhi rishte ki
rahega sath koi sirf aazmane tak


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close