zamin pe insan KHuda bana tha waba se pahle

zamin pe insan khuda bana tha waba se pahle
wo khud ko sab kuchh samajh raha tha waba se pahle

palak jhapakte hi sara manzar badal gaya hai
yahan to mela laga hua tha waba se pahle

tum aaj hathon se duriyan napte ho socho
dilon mein kis darja fasla tha waba se pahle

ajib si daud mein sab aise lage hue the
makan makinon ko dhundhta tha waba se pahle

hum aaj khalwat mein is zamane ko ro rahe hain
wo jis se sab ko bahut gila tha waba se pahle

na jaane kyon aa gaya dua mein meri wo bachcha
sadak pe jo phul bechta tha waba se pahle

dua ko utthe hain hath 'amabar' to dhyan aaya
ye aasman surkh ho chuka tha waba se pahle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close