zamin se shukr o shikayat hai aasman se nahin

zamin se shukr o shikayat hai aasman se nahin
ki hum yahin se hain jo kuchh bhi hain wahan se nahin

bas ek saya sa phirta hai dil mein aawara
hamare gham ka koi silsila fughan se nahin

sawal-e-shola-e-nok-e-zaban hai kya kahiye
kahan se aae hain hum log aur kahan se nahin

rawish mein charkh tapish mein zamin dihish mein sahab
ye musht-e-khak kisi tera khak-dan se nahin

hunar hai masti-e-jaan raunaq-e-dukan kyun ho
ayar-e-masti-e-jaan raunaq-e-dukan se nahin

mera nasab hai meri zat-e-pak se zahir
sharafat-e-nasabi naubat o nishan se nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close