zamin tashkil de lete falak tamir kar lete

zamin tashkil de lete falak tamir kar lete
hum apne aap mein hote to sab taqdir kar lete

inhi rahon pe chalne ki koi tadbir kar lete
agarche khak udti, khak ko iksir kar lete

nahin tha sar mein sauda baam-o-dar ka is qadar warna
zamana dekhta kya kya na hum tamir kar lete

ye mohlat bhi badi shai thi hamein ai kash mil jati
kisi din baithte kar-e-jahan tahrir kar lete

khalish baqi na hoti to bhala kya lutf rah jata
tujhe taskhir karna chahte taskhir kar lete

nahin guftar ki lazzat ye jazbe ki karamat hai
agar jazba nahin hota to kya taqrir kar lete

mohabbat mein junun ki barkaten shamil jo ho jatin
adhure khwab the puri magar tabir kar lete


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close