zara sa shar tha agar KHair se nikal jata

zara sa shar tha agar khair se nikal jata
talluqat ka mafhum hi badal jata

koi sunahri kiran roz hum bana lete
ye barf hota hua shahr kuchh pighal jata

kisi shajar pe mohabbat se hath rakh dete
to ghonslon pe musallat azab tal jata

tane se tek lagae manate sham-e-wafa
to raat raat mein sara darakht phal jata

main sabz bel ke manind phailti har su
safed unche sutunon pe mera bal jata

tere nafis amame ke pech yun khulte
musafiron ke liye saeban mein dhal jata

kapas chunti hui aurten sukhi hotin
jahan jahan ye zamin hai kisan ka hal jata

gharon mein phailti jati mohabbaton ki mahak
mughairat ka dhuan khud-ba-khud nikal jata

hum ek dusre ki baat rakh liya karte
ye rakh-rakhaw sabhi fasle nigal jata


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close