zard mausam mein bhi ek shaKH hari rahti hai

zard mausam mein bhi ek shakh hari rahti hai
dil ke gulshan mein koi sabz pari rahti hai

tishna-lab kaun hai wo jis ke liye nahr-e-furaat
meri palkon ki munderon pe dhari rahti hai

mustaqil khana-badoshi ka koi ajr nahin
panw se lipti mere dar-ba-dari rahti hai

ai mere dil ke makin kuchh nahin tabdil hua
tum jahan rahte the shorida-sari rahti hai

jism ke bhed to khul jate hain dhire dhire
ruh se ruh ki to parda-dari rahti hai

dost ho jata mera sara zamana 'hashim'
mere honton pe magar baat khari rahti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close