zauq-e-sarmasti ko mahw-e-ru-e-jaanan kar diya

zauq-e-sarmasti ko mahw-e-ru-e-jaanan kar diya
kufr ko is tarah chamkaya ki iman kar diya

tu ne ye ejaz kya ai soz-e-pinhan kar diya
is tarah phunka ki aakhir jism ko jaan kar diya

jis pe meri justuju ne dal rakkhe the hijab
be-khudi ne ab use mahsus o uryan kar diya

kuchh na hum se ho saka is iztirab-e-shauq mein
un ke daman ko magar apna gareban kar diya

go nahin rahta kabhi parde mein raaz-e-ashiqi
tum ne chhup kar aur bhi us ko numayan kar diya

rakh diye dair o haram sar marne ke waste
bandagi ko be-niyaz-e-kufr-o-iman kar diya

aariz-e-nazuk pe un ke rang sa kuchh aa gaya
in gulon ko chhed kar hum ne gulistan kar diya

in buton ki surat-e-zeba ko 'asghar' kya kahun
par khuda ne wae nakaami musalman kar diya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close