zauq-e-ulfat ab bhi hai rahat ka arman ab bhi hai

zauq-e-ulfat ab bhi hai rahat ka arman ab bhi hai
dil pareshan ruh tarsan chashm-e-giryan ab bhi hai

kab sambhaale se sambhalta hai dil-e-pur-iztirab
aah-e-sozan lab par ab bhi sina baryan ab bhi hai

sai koshish ke liye maidan hai ab bhi farakh
azm-e-rasikh ki zarurat hum ko han han ab bhi hai

tukhm mein roidagi har nakhl mein baalidgi
mausam-e-sarma-o-garma baad-o-baran ab bhi hai

khalq mein maujud hain ab bhi wahi lal-o-gohar
tishna-kaami-e-sadaf ko abr-e-naisan ab bhi hai

sham bhi hai subh bhi hai aur din bhi raat bhi
mah-e-taban ab bhi hai mahr-e-darakhshan ab bhi hai

aashiq o mashuq bhi hain wasl o hijr o rashk bhi
mahr ulfat tegh o khanjar tir paikan ab bhi hai

hai wahi diwangi ab bhi wahi shoridgi
jaib o daman hadiya-e-khar-e-bayaban ab bhi hai

shauq o zauq ab bhi hai baqi murda-dil hum hain to hain
apne dil ko hasrat-e-sair-e-gulistan ab bhi hai

ishq ki surat jo badle to ho aashiq bhi kuchh aur
ye jafa-o-jaur ka har waqt khwahan ab bhi hai

aa gai piri magar ab tak hai tu mahw-e-khayal
ham-sabaq tiflon ka tu tifl-e-dabistan ab bhi hai

garmi-e-mahfil wahi hai jama hain ahbab bhi
hasti-e-parwana o sham-e-shabistan ab bhi hai

ghair-mumkin hai badal jae kabhi qanun-e-haq
hukm-e-yazdan ab bhi hai ijra-e-farman ab bhi hai

kyun musalmanon ne badla haal apni qaum ka
tha jo quran bas wahi maujud quran ab bhi hai

qashqa baala-e-jabin zunnar hai baala-e-dosh
ye bata iman se kya tu musalman ab bhi hai

ittiqa o zohd se dil-bastagi baqi nahin
dawa-e-islam jaisa pahle tha han ab bhi hai

kho diye ayyam-e-piri ne tere hosh-o-hawas
ai bashir-e-be-nawa kuchh dil mein arman ab bhi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close