zawal-e-shab tak wo rafta rafta charagh tanha jo jal raha hai wo pal ki jis ka main muntazir tha wo dekho manzar badal raha hai faza mein khushbu bhi jaan-fiza hai ajab hawaon mein naghmagi hai ye kis ki aamad hai kaun hai wo ye dil kyun itna machal raha hai tumhein zarurat nahin ki puchho hamare ghar ka pata kisi se wahin pe ruk kar ke dekh lena dhuan jahan se nikal raha hai yahi hai anjam zindagi ka lahu mein duba hai dekho suraj chamak raha tha jo aasman par ab us ka saya bhi dhal raha hai ajab hai yaadon ka ye tasalsul ki jaise jhadiyan lagi hui hain yun dil sulagne laga hai mera dimagh 'jawed' jal raha hai