zehn mein charaghan hai ruh jagmagai hai

zehn mein charaghan hai ruh jagmagai hai
sham ke dhundlakon mein yaad teri aai hai

kal khizan mein diwane be-niyaz-e-daman the
fikr-e-pairahan ab hai jab bahaar aai hai

khud ulajh gae aakhir jo chale the suljhane
gesu-e-pareshan se wo shikast khai hai

zulmat-e-shab-e-gham mein zindagi ki rahon par
shama-e-arzu hum ne muddaton jalai hai

tum hi gesuon walo chhanw le ke aa jao
zindagi ki rahon par tez dhup chhai hai

kash daulat-e-gham hi apne pas bach rahti
wo bhi un ko de baithe aisi mat khai hai

aap roe kyun aakhir sun ke qissa-e-'manzur'
aap hi bataen to aankh kyun bhar aai hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close