zehn mein kuchh qayas rahta hai nisf khali gilas rahta hai har taraf rang-o-nur hai phir bhi shahr kyun kar udas rahta hai muflisi mein bhi hath phailaen kuchh to izzat ka pas rahta hai amn ka qatl ho gaya jab se shahr ab bad-hawas rahta hai tez raftar zindagani mein hadisa aas-pas rahta hai daur patthar ka phir se laut aaya ab jahan be-libas rahta hai hum faqiron ka tarz hai 'sabir' tan pe sada libas rahta hai