zer-o-bam se saz-e-KHilqat ke jahan banta gaya

zer-o-bam se saz-e-khilqat ke jahan banta gaya
ye zamin banti gai ye aasman banta gaya

dastan-e-jaur-e-behad khun se likhta raha
qatra qatra ashk-e-gham ka be-karan banta gaya

ishq-e-tanha se huin aabaad kitni manzilen
ek musafir karwan-dar-karwan banta gaya

main tere jis gham ko apna jaanta tha wo bhi to
zeb-e-unwan-e-hadis-e-digaran banta gaya

baat nikle baat se jaise wo tha tera bayan
nam tera dastan-dar-dastan banta gaya

hum ko hai malum sab rudad-e-ilm-o-falsafa
han har iman-o-yaqin wahm-o-guman banta gaya

main kitab-e-dil mein apna haal-e-gham likhta raha
har waraq ek bab-e-tarikh-e-jahan banta gaya

bas usi ki tarjumani hai mere ashaar mein
jo sukut-e-raaz rangin dastan banta gaya

main ne saunpa tha tujhe ek kaam sari umr mein
wo bigadta hi gaya ai dil kahan banta gaya

wardat-e-dil ko dil hi mein jagah dete rahe
har hisab-e-gham hisab-e-dostan banta gaya

meri ghutti mein padi thi ho ke hal urdu zaban
jo bhi main kahta gaya husn-e-bayan banta gaya

waqt ke hathon yahan kya kya khazane lut gae
ek tera gham ki ganj-e-shaigan banta gaya

sar-zamin-e-hind par aqwam-e-alam ke 'firaq'
qafile baste gae hindostan banta gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close