zinat-e-unwan hai mazmun aalam-e-tauhid ka

zinat-e-unwan hai mazmun aalam-e-tauhid ka
matla-e-diwan na kyun matla bane khurshid ka

ye sawad-e-nama hai ya surma-e-taskhir hai
hai bayaz-e-safha ya hai nur subh-e-id ka

dair mein hai wo na hai kabe mein aur hai sab kahin
talib-e-nazzara ko gar ho saliqa did ka

ho jo us ke nam par aaghaz pura ho wo kaam
hai bar-arinda wahi har shakhs ki ummid ka

jo mila us se use kahta hai aalam mar gaya
nam murda rakh diya hai zinda-e-jawed ka

lan-tarani hi rahi us shokh ko ushshaq se
hausla paida na kis kis ko hua go did ka

taza mazmun 'sehr' apni tab-e-mauzun se nikal
ho na tu tarz-e-sukhan mein aashna taqlid ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close