zindagani jab hamein ras aaegi

zindagani jab hamein ras aaegi
dekh lena maut bhi aa jaegi

wo nazar jab bhi karam farmaegi
laziman duniya hamein apnaegi

mere ghar se sham-e-gham kab jaegi
aaj jaegi to kal phir aaegi

kaun zinda rah sakega bin tere
kis se ye tohmat uthai jaegi

kaun jaane kya ho phir tauba ka hashr
mai-kade par jab ghata ghar aaegi

ek din hum khak mein mil jaenge
har haqiqat dastan ban jaegi

kya karun un ki nasihat ka gila
doston se aur kya ban aaegi

main na kahta tha na puchhen mera haal
aap ko sun kar hansi aa jaegi

gardish-e-dauran ko samjha dijiye
hum se uljhegi to munh ki khaegi

wo mitane ko hain ai 'asi' hamein
ye khalish bhi ek din mit jaegi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close