zindagi apni hui yar ki fitrat ki tarah

zindagi apni hui yar ki fitrat ki tarah
hum bhi kal hon ki na hon us ki inayat ki tarah

waqt hum ko ye bure din na dikhata ai kash
hum bhi uth jate zamane se mohabbat ki tarah

hum to har lamhe ko dete rahe sanson ka hisab
hum pe tuta hai har ek lamha qayamat ki tarah

gul khilaega ye maqtul-lahu dharti par
kisi rukhsar pe chadhti hui rangat ki tarah

log kahte hain na kyon bhul gaya main us ko
wo ki tha jo meri buniyaadi zarurat ki tarah

zindagi to kisi saghar mein dhali to hoti
hum to pi lete tujhe jam-e-shahadat ki tarah


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close