zindagi apni qarine se basar hoti nahin

zindagi apni qarine se basar hoti nahin
mukhtasar karta hun lekin mukhtasar hoti nahin

de gaya tarikiyan itni wo ahl-e-shahr ko
sar pe suraj aa gaya phir bhi sahar hoti nahin

pahle apne sath chalte the sitare shauq se
ab to apni raushni bhi ham-safar hoti nahin

is tarah chup-chap mere pas aa jate hain log
ghar ke darwaze ki chaukhat ko khabar hoti nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close