zindagi jine ka yun hum ne sahaara kar liya un ka har tir-e-sitam hans kar gawara kar liya zehn mein mahfuz hain jalwe abhi us shokh ke dil pareshan jab hua un ka nazara kar liya doston mein koi bhi mera nahin tha ham-khayal is liye ahbab se main ne kinara kar liya ek patthar dil se takrae to ye lagne laga hum ne khud apne jigar ko para-para kar liya dekhne wale bahut the koi samjha hi nahin aankhon hi aankhon mein us ne khel sara kar liya jo muqaddar mein nahin tha us ko pane ke liye is qadar uljhe ke khud apna khasara kar liya hum faqiron ko nahin kuchh tar-niwalon se gharaz rukhi sukhi kha ke bhi apna guzara kar liya us ne taqriron se apni nafraten phailain thin shairi se hum ne qaem bhai-chaara kar liya zindagi bhar sath ab us ka nibhana hai tumhein jis ne apne nam 'rahbar' gham tumhaara kar liya