zindagi jis ka nam hai yaro

zindagi jis ka nam hai yaro
qissa-e-na-tamam hai yaro

aadmi ko dawam ho ki na ho
aadamiyat dawam hai yaro

khilte jate hain phul rahon mein
kaun mahw-e-khiram hai yaro

zindagi ka koi maqam nahin
zindagi khud maqam hai yaro

ek waqti surur-e-bulhawasi
ishq kaif-e-dawam hai yaro

kar-e-yazdan jise samajhte ho
wo tumhaara hi kaam hai yaro

magar duniya ba-maslahat bhi ghalat
din isi ka to nam hai yaro

zindagi mera sath de ki na de
maut mujh par haram hai yaro

azm mazbut hausle mohkam
waqt kis shai ka nam hai yaro

fikr-e-'anjum' ko shairi na kaho
ek ghaibi payam hai yaro


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close