zindagi KHauf se tashkil nahin karni mujhe

zindagi khauf se tashkil nahin karni mujhe
raat se zat ki takmil nahin karni mujhe

kisi darwesh ke hujre se abhi aaya hun
so tere hukm ki tamil nahin karni mujhe

chhod di dasht-nawardi bhi ziyan-kari bhi
zindagi ab teri tazlil nahin karni mujhe

dil ke bazar mein zanjir-zani honi nahin
aankh bhi aankh rahe jhil nahin karni mujhe

main ki ilhad ke girdab mein aaya hua hun
ab kisi ilm ki tahsil nahin karni mujhe

ladte rahna hai tasalsul se mujhe subh talak
aur talwar bhi tabdil nahin karni mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close