zindagi ki kitab dekhta hun kya hua intisab dekhta hun tum bhi hote ho mere pas magar main tumhaare hi khwab dekhta hun ek chehra hai meri aankhon mein kya gunah-o-sawab dekhta hun us ki tabir hai mera hona maut ko mahw-e-khwab dekhta hun chashm-o-lab gung hain 'ali-yasir' samne us ka bab dekhta hun