zindagi ki raushni ke istiare KHwab hain

zindagi ki raushni ke istiare khwab hain
dekhiye tabir kya ho kitne pyare khwab hain

bukhl hai karte nahin khwabon ki khushiyon mein sharik
aao hum dete hain tum ko jo hamare khwab hain

jin ki aankhen thi haqiqat ke tajassus mein magan
un ka daman dekhiye sare ke sare khwab hain

jagte mein so raha tha un ke jazbon ka shuur
nind us ki hai magar us mein hamare khwab hain

be-sukun lamhon mein sona hai giran ehsas ka
qarz hai tabir un ki jo udhaare khwab hain

so gaya tha waqt ke neze pe sar rakkhe hue
main ne ye kaisi bulandi se utare khwab hain

hum haqiqat mein guzar jaenge khwabon ki tarah
raushni, zulmat, mah-o-khurshid sare khwab hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close