zindagi ki tha alamat ek hunar be-jaan sa

zindagi ki tha alamat ek hunar be-jaan sa
rah gaya taswir koi dekh kar hairan sa

teri yaaden dafn kar deti hain us ke zor ko
roz uthta to hai dil mein ja-ba-ja tufan sa

raunaq-e-shahr-e-riya takhir honi thi hui
raste mein pad gaya tha ek khandar viran sa

aap aaenge to wahshat sath le kar aaenge
rasta aata hai mere ghar pe ek sunsan sa

puchhne aata nahin koi mere haalat ab
main watan mein ho gaya hun apne hi anjaan sa

jab safar tai kar liya tab is ka andaza hua
dekhne ko rasta to tha bahut aasan sa

koi puchhe rahbar se rakht-e-jaan rakht-e-safar
qafila jata kahan hai be-sar-o-saman sa

kaghzi phulon pe titli koi aai nahin
mez par rakkha hua tha yun to ek gul-dan sa


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close