zindagi ko ek KHwab-e-raegan samjha tha main

zindagi ko ek khwab-e-raegan samjha tha main
be-karan tabir hogi ye kahan samjha tha main

rah-rau guzre chale jate the rah-e-zist par
ek hujum-e-jism-o-jaan ko karwan samjha tha main

itni nazdiki ki jaise chhu raha hun khud ko main
harz-e-jaan hai wo jise wahm-o-guman samjha tha main

tha bahut saffak tansikh-e-talluq ka fareb
us ka aalam hai jise apna jahan samjha tha main

be-talab aasuda kab hoti hai kisht-e-arzu
be-guman dil ho rahega gulistan samjha tha main

ek tawaqqoa thi ki ye lahja bhi samjhega koi
chashm-e-khun-afshan ko andaz-e-bayan samjha tha main

rabt-e-baham tha faqat lafz-o-bayan ka irtibaat
hai koi rasm-e-wafa bhi darmiyan samjha tha main

is qadar manus tha fitrat ke lahje ka jamal
so use apna sukhan apni zaban samjha tha main

ye to hain aaindagan ki raushni ke daere
in ko ab tak apne qadmon ke nishan samjha tha main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close