zindagi kya hai ba-juz wahm-o-guman mere liye

zindagi kya hai ba-juz wahm-o-guman mere liye
ye zamin jab ho gai be-asman mere liye

wo badan sahra badha deta hai pahle meri pyas
aur ban jata hai phir aab-e-rawan mere liye

mausam-e-dil ne bikhere dil ke bahar apne rang
rang-e-gul us ke liye rang-e-khizan mere liye

shahr mein lagti hai phir ek roz bujh jati hai aag
chhod jati hai magar sara dhuan mere liye

us se milne ka saman us se judai ki ghadi
aur phir kuchh bhi nahin sud-o-ziyan mere liye

aasman-e-dil pe raushan lafz-o-mani ki tarah
hai zamin-e-sher ki ye kahkashan mere liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close