zindagi kya hai ibtila ke siwa shikwa-e-dard-e-la-dawa ke siwa teri duniya mein kya nahin milta ek dil-e-dard-ashna ke siwa chaara-e-dard-e-zindagi kya hai aah-e-jaan-kah-o-iltija ke siwa kuchh nahin ikhtiyar mein apne bandagi ke siwa dua ke siwa main ne har baat un se kah dali lekin ek harf-e-muddaa ke siwa meri imdad sab ne farmai waiz-o-zahid-o-khuda ke siwa kaun samjhega in haqaeq ko 'shoala'-e-rind-e-parsa ke siwa