zindan mein bhi wahi lab-o-ruKHsar dekhte

zindan mein bhi wahi lab-o-rukhsar dekhte
darwaza dekhte kabhi diwar dekhte

pasti-nashin ho ke main kitna buland tha
gardan jhuka ke tum mera mear dekhte

sab daudte the us ki ayaadat ke waste
jis ko zara sa nind se bedar dekhte

dil baithne lage to nigahen bhi thak gain
kab tak teri taraf tere bimar dekhte

kis darja aane wale zamane ka khauf tha
bajta gajar to sham ke aasar dekhte

ab kya kahen wo ajnabi kaisa tha hum jise
aankhon pe hath rakh ke bhi lachaar dekhte

tere siwa bhi kuchh nazar aana muhaal tha
duniya ko dekhte ki tera pyar dekhte

na-ashna hain 'ram' jo ghurbat ke nam se
wo kash mere daur ke fankar dekhte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close