zor se aandhi chali to bujh gae sare charagh

zor se aandhi chali to bujh gae sare charagh
gum hue jate hain tariki mein manzar aur main

hath se bachchon ke nikle meri jholi mein gire
ban gae hain dost ye bachchon ke patthar aur main

par nahin lekin mayassar taqat-e-parwaz hai
dekhiye udte fazaon mein kabutar aur main

ab tamaniyyat bahut mahsus hoti hai mujhe
ho gaya hai ham-sukhan nila samundar aur main

kaise kaise khub-ru chehre the sab ke samne
mahw-e-hairat ho gaya hai sara daftar aur main

koi bhi pechidgi hael nahin anwar-'sadid'
zindagi hai samne manzar-ba-manzar aur main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close