zulmaton mein go Thaharne ko Thahar jate hain log

zulmaton mein go thaharne ko thahar jate hain log
ahl-e-manzil ki nigahon se utar jate hain log

kal talak to husn ki masumiyat mashkuk thi
ab khulus-e-ishq par bhi chot kar jate hain log

rah mein ab wo dar-e-jaanan ho ya dair-o-haram
sar uthae be-niyazana guzar jate hain log

zindagi ki be-sabaati ka koi rona nahin
hae wo haalat jab be-maut mar jate hain log

shaikh-sahib hum siyah-bakhton ka pichha chhodiye
sham hoti hai to apne apne ghar jate hain log


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close