faqat chand nusKHon ka hai wo safina

faqat chand nuskhon ka hai wo safina
chale aae hain jo ki sina-ba-sina

na un ko nabaatat se aagahi hai
na aslan khabar madiniyyat ki hai

na tashrih kei lai kisi par khuli hai
na ilm-e-tabii na chemistry hai

na pani ka ilm aur na ilm-e-hawa hai
marizon ka un ke nigahban khuda hai

na qanun mein un ke koi khata hai
na makhzan mein angusht rakhne kei ja hai

saidi mein likkha hai jo kuchh baja hai
nafisi ke har qaul par jaan fida hai

salaf likh gae jo qayas aur guman se
sahife hain utre hue aasman se

wo sher aur qasaed ka napak daftar
ufunat mein sandas se jo hai bad-tar

zamin jis se hai zalzale mein barabar
malak jis se sharmate hain aasman par

hua ilm-o-din jis se taraj sara
wo ilmon mein ilm-e-adab hai hamara

bura sher kahne kei gar kuchh saza hai
abas jhut bakna agar narawa hai

to wo mahkama jis ka qazi khuda hai
muqarrar jahan nek-o-bad kei saza hai

gunahgar wan chhut jaenge sare
jahannam ko bhar denge shair hamare


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close