ghaalib dilli mein

'ghaalib' ne ki ye arz khudawand-e-zul-jalal
jannat se kuchh dinon ke liye kar mujhe bahaal

mah-wash mere kalam ko sazon pe gae hain
qismat ne baad marne ke kya din dikhae hain

shaer jo munharif the wo marub ho gae
aiwan jo mere nam se mansub ho gae

khadim ka is idare se rishta hai bahami
ek bar main bhi dekh lun ghaalib-academy

har shakhs ke huzur main phailae hat tha
na-qadriyon ke daur mein fidwi hayat tha

hukm-e-khuda hua ki zara jald jaiye
duniya ko ja ke phir se zara dekh aaiye

'saghar' ba-ehtiram khuda ke wakil ne
dilli mein la ke chhod diya jibrail ne

ek sath do basen jo bhana-bhan guzar gain
huron ne jo sanwari thin zulfen bikhar gain

kandhe se kandha mar ke mah-wash nikal gaya
ula se sani sher ka meter badal gaya

baithe jo bus mein aur hue hosh bakhta
jannat ki samt udti nazar aai fakhta

jhatke se bas ke reshmi poshak phat gai
jhurmut mein ladkiyon ke the aur jeb kat gai

dekha jo hippiyon ko to dil shad ho gae
samjhe ki qaidi qaid se aazad ho gae

khufiya police bhi aada-o-atwar dekh kar
pichhe lagi thi jubba-o-dastar dekh kar

'ghaalib' ki jo nigah idhar se udhar gai
urdu ki ek kitab nazar se guzar gai

urdu ke zar-nigar kisi aaftab ne
tote ko te se likkha tha khana-kharab ne

'ghaalib' ye samjhe yar kahin popala na ho
tasnif karne wala kahin totla na ho

ye dagh dhul sakenge na ashkon ke dhoe se
ta-umr main ne likkha hai tote ko toy se

wallah be-bulae baraati se ho gai
'ghaalib' ki bhent ek sahafi se ho gai

bole bade waqar se 'ghaalib' hai mera nam
jannat se sath aae hain jibrail zi-maqam

bole ki kitne logon pe 'ghaalib' ka bhut hai
hain aap waqai koi is ka subut hai

be-nur jo charagh hain wo aaftab hain
kis kis ko hum bataen ki 'ghaalib' janab hain

wallah jhum jaegi duniya huzur ki
jannat se sath laya hun taswir hur ki

taswir dekh kar kaha suniye bade miyan
is shakl ki milengi hazaron hi ladkiyan

huron se gah gah jo khat main ne pae hain
jibrail apne sath wo sab le ke aae hain

khat padh ke bole wah yahi khat hain kya janab
jin mein na soz-o-saz na shikwe na iztirab

ye khat bhi padh ke dekhiye jo mere pas hain
huron se badh ke ladkiyan yan adwance hain

har aarzu-e-dil ko ba-taswir likhti hain
mata pita ko panw ki zanjir likhti hain

aae the chaar roz ko jaldi guzar gae
'ghaalib' wafur-e-sharm se do din mein mar gae

puchha khuda ne haal to 'ghaalib' ne ye kaha
jannat se ab na jaega ye banda-e-khuda

jina zamane walon ne dushwar kar diya
pahchanne se bhi mere inkar kar diya

aai sada-e-haq ki yahi band-o-bast hain
tere watan ke log to murda-parast hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close