KHud-kushi

rahimullah hua achchha to us ne
ye dekha ho chuki hai partition

gae kuchh bhag aur kuchh mar chuke hain
na neta-singh baqi hai na bhishan

sune is dastan ke jab fasane
to ghusse ne banaya us ko majnun

tadap uttha ki le kaise wo badla
piye in kafiron ka kis tarah khun

na kyun kahla saka wo mard-e-ghazi
na jab ye mil saka wo khub roya

yaka-yak us ke sab palte khayalat
to us ne daman-e-islam chhoda

kinara-kash hua sab bhaiyon se
nae mazhab se rishta apna joda

kai din baad jab nikla wo ghar se
to us ke munh pe dadhi sar pe the baal

nihaala-singh ab tha nam us ka
liye kirpan wo ghusse se tha lal

hazaron khun-fishan arman le ke
khada tha aaj wo masjid ke aage

pakadne ke liye us ko namazi
namazen chhod kar masjid se bhage

laga kar ek nara wahshat-alud
wahi kirpan jhat us ne nikali

laga kar qahqaha phir ek falak-ras
man sine mein apne ghonp dali

tamanna thi ki ek sikh main bhi marun
ye puri tu ne ki allah-taala

bahut khush hun rahimullah-khan ne
nihaala-singh-ji ko mar dala


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close