aadmi ka

gham-e-musalsal ki is tapish mein ki jism jal jae aadmi ka
hansi ki halki phuwar bhi ho to kaam chal jae aadmi ka

mizah ki gar zara bhi his hai hansi ko aur qahqahe ko chhodo
chaman mein gar phul muskura de to dil bahal jae aadmi ka

musibaton ka muqabla jo hamesha hanste hue karega
jo waqt mushkil mein aane wala to wo bhi tal jae aadmi ka

kisi ko girne se tokna mat durusht lahje mein yaad rakkho
tabassum-amez ho nasihat qadam sanbhal jae aadmi ka

zamana achchha guzar gaya to ye din bure bhi nahin rahenge
na ho agar ye fareb-e-paiham to dam nikal jae aadmi ka

gunahgaron aur aasiyon ko azab-e-dozakh se waizo tum
darao be-shak magar na itna ki dil dahal jae aadmi ka

ibaadaton ke muawze mein milegi jo aabidon ko jannat
tum us ka naqsha kuchh aisa khincho ki dil phisal jae aadmi ka

naza se pahle kare jo tauba wo apni rahmat se bakhsh dega
ajab nahin hai ki marte marte bhi dil badal jae aadmi ka

ye daur make-up ka aa gaya hai wo husn-e-sada kahan mile ab
ki jis ki bas ek jhalak ko dekhe to dil machal jae aadmi ka

faza-e-masmum mein sans le kar koi jiya bhi to kya karega
zaif hone se qabl hi jab shabab dhal jae aadmi ka

na itni aasan shaeri ho ki jis ka mafhum hi na nikle
na itni mushkil ki jis ko sun kar zehn pighal jae aadmi ka

ye zindagi 'khwah-makhwah' itni azab-e-jaan aur tawil bhi hai
agar na hon mahfilen hansi ki to dam nikal jae aadmi ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close