aaj chali hai hawa

aaj chali hai hawa
muddaton ke baad

hayat se talluq tha jis ka
har wo shai taras gai

ki gosh ko tanaffus ki
sargam nasib ho

sunai de sarsaraati si ek aawaz
koi sargoshi koi dastak ban kar

aati jati jo mere qarib ho
dast-e-mazi se jod apne bazu

yaad-e-ayyam ke aaghosh mein
gum-gashta dida-e-tar chal pada

hai ek talash mein
ya to aankhon ki nami se chhutkara mile

ya phir dil ki umiden bar aaen
lekin ye kya ki

is na-murad khoj mein
aankhen dar-ba-dar bhatakti hui

khali hath laut kar
thaki-haari ghar aaen

tabhi chalne lagi hawa mere bagh mein
darakhton ke patte larazne lage

gulon ke hasin labon par
tabassum uga

aur ek nannhi si lau jagi charagh mein
khuli hawa mein sans lene ki khwahish

dil-e-na-saz mein arman jaga gai
ghutan se tang aa kar main ne

phir kholi jo zanjir-e-dar
kambakht hawa ki sozish

chashm-e-nam sukha gai
aur charaghon par raqs karte

shararon ko bujha gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close