aaKHiri aadmi

bujha do
lahu ke samundar ke us par

aaina-khanon mein ab jhilmilate hue qumqumon ko bujha do
ki dil jin se raushan tha ab un charaghon ki lau bujh chuki hai

mita do
munaqqash dar-o-baam ke jagmagate

chamakte hue sab buton ko mita do
ki ab lauh-e-dil se har ek naqsh harf-e-ghalat ki tarah mit chuka hai

utha do
lahu ke jazire mein

biphri hui maut ke zard panjon se parda utha do
ki ab is jazire mein

lashon ke ambar bikhre pade hain
faza mein har ek samt

jalte hue khun ki bu rachi hai
wo aankhen jo apne badan ki tarah saf shaffaf thin

ab un darakhton pe baithe hue chil kawwon gidhon ki ghiza bin chuki hain
ye sola december ki bujhti hui sham hai

aur main
is lahu ke jazire mein jalta hua aakhiri aadmi hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close