aas

post-man ki cycle ki ghanti
mere dil ki dhadkanen badha deti hai

khat hath mein aate hi
un ki yaaden bhi sath chalti aati hai

ek madhosh karne wali lifafe ki khushbu
zehn par chha jati hai

siyahi ki likhawat
us ki ungliyon ki chhuwan yaad dilati hai

kaghaz ka khurdura ehsas
dil ko gudgudata hai

patr par likha mazmun
thand ki garm chae sa garmata hai

aise jaane kitne khat dakiya lata raha
aur har diwali par inhin khaton ka inam pata raha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close