ai kali tujh ko hamara bhi khayal aa hi gaya hum to mayus hue baithe the sahraon mein ab tera rup bhi dhundla sa chala tha dil mein tu bhi ek yaad si thi jumla hasinaon mein tah-ba-tah gard se aalud tha din ka daman raat ka nam na aata tha tamannaon mein raqs-e-shabnam ki parastar nigahon ke liye dhup ke abr the khurshid ki bauchhaaren thin aasman zard tha jaise koi yarqan ka mariz jis ke takiye ke liye ret ki dastaren thin dil bhara rahta tha jalte hue chhaale ki tarah ruh ke waste diwaren hi diwaren thin koi aawaz na aati thi ba-juz saut-e-muhib koi naghma na tha chilon ke tarannum ke siwa sara andaz tha phaile hue dariyaon ka reg-e-sahra ke samundar mein talatum ke siwa khushk patton ka namak ret ke zarron ki mithas hont sab zaiqe rakhte the tarannum ke siwa kab tak is dil ki lagan ras na aati aakhir muskuraata hua gardun pe hilal aa hi gaya apne diwanon ko sine se lagane ke liye ek ghazal-paikar o afsana-jamal aa hi gaya ai falak tu ne hamein khak se aakhir ko chuna ai kali tujh ko hamara bhi khayal aa hi gaya