aata hai yaad mujhko

aata hai yaad mujh ko school ka zamana
wo doston ki sohbat wo qahqahe lagana

anwar aziz raju munnu ke sath mil kar
wo taliyan bajaana bandar ko munh chidana

ro ro ke mangna wo ammi se roz paise
ja ja ke hotalon mein barfi malai khana

padhne ko jab bhi ghar par kahte the mere bhai
karta tha dard-e-sar ka akasr hi main bahana

milti nahin thi fursat din raat khelne se
yun raegan hua tha padhne ka wo zamana

kaise kahun kisi se ab kya hai haal mera
khane ko mushkilon se milta hai ek dana

har ek qadam pe lagti hai thokaron pe thokar
ja kar rahun kahan par milta nahin thikana

afsar bane hain is dam mere hi ham-jamaat
un se haya ke mare padta hai munh chhupana

bachcho na tum samajhna hargiz ise kahani
ye hai tumhaare haq mein ibrat ka taziyana

hoga bhala tumhaara sun lo 'zafar' ki baaten
khelo zarur lekin padhne mein dil lagana


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close