maut kis rah par khadi meri rah dekh rahi hai abhi abhi main ne hawa ki an dekhi chadar mein surakh kiya hai aur bahut upar ke baadalon ko chhalni kar diya hai zamin bhar ki wo sari mitti jo an-ginat dafn hone walon ki kimiya se bani hai aur chaaron dishaon mein an-ginat badan jalon ki chitaon ki jo rakh bani hai kahan le jaegi mujhe main to ab wo hun hi nahin jo kabhi hua karta tha ab na to mein kabhi sota hun aur na kabhi jagta hun main na panw chalta hun na main qadam-sakin hun maut mere panw ke bina chal sakti hai maut mere qadam ke bina sakin ho sakti hai ab ghilaf-e-zindagi ki koi bhi ek parat rah gai ho to use zindagi se hata diya jae jab uqab unchi udan par ho to us ki aankh mein koi sui chubhoi nahin ja sakti maut ne mujhe uqab bana diya hai ya shayad mujhe kisi farishte mein tabdil kar diya hai ab mujhe zamin par ya zamin ki fuzul duniya ki sath par dhunda na jae main ab kisi ki dastaras mein nahin ho
This is a great beti ke upar shayari. Please share if you liked this!!!