abhi waqt hai lauT jao

suno kasrat-e-khak mein basne walo
suno tausan-e-barq-raftar par kathiyan kasne walo

ye phir kaun se marke ka irada
tumhaari nason mein ye kis khwab-e-fateh ka phir bab-e-wahshat khula hai

fasilon pe ek parcham-e-khun-chakan gad dene ki niyyat
kai lakh maftuh jismon ko phir haalat-e-sina-kubi mein rote hue dekhne ki tamanna

ye kis aab-e-diwangi se badan ka subu bhar rahe ho
suno tum badi bad-numa raat ki dhund mein faisla kar rahe ho

udhar sainkadon kos par ek pahadi hai jis par koi shai nahin hai
wahan har taraf se tumhein aag ke ghol ghere mein lene ki khatir khade hain

abhi waqt hai lut jao
suno ujlat-e-fikr mein koi bhi kaam anjam pata nahin

phir kisi saat-e-shab-girafta mein koi sitara bulata nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close