adakar

mere raazdan
meri aankhon mein dekho

batao mujhe kya kahin khauf hai
kya kahin koi khwahish

machalti hui pa-barahna mili
kya meri aankh ke bankpan mein

naqahat to ubhri nahin
mohabbat ka dhaga jo uljha hua hai

kahin us ki surkhi to
aankhon mein dikhti nahin

mere raazdan
meri baaton ko socho batao mujhe

kya kahin in mein taqdir se
koi shikwa bhi hai

koi doghla-pan
talaffuz ki ghalati

kahin na-muradi ka be-wazn misra
shaqawat tanaffur bhara koi jumla

agar aisa hai to batao mujhe
mere dna mein

adakar lamhon ka paiwand hai
mera fan musalsal

hidayat hi ka to paband hai
ye ek aan mein

dukh chhupane lagega
malamat-zada ye riya-kar chehra

abhi
dafatan muskurane lagega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close