aisa bhi nahin ki

aisa bhi nahin ki mujhe zindagi ke ped ke pas
be-as aur be-sahaara chhod diya gaya ho

main ne abhi abhi gilahriyon ki aawaz suni hai
gilahriyan mere liye

bahisht ke akhrot la rahi hain
siwae is ke ki aadam-zad kahin dikhai nahin deta

magar jangal bol raha hai ki is ke bol mein
meri bichhdi hui aawaz shamil hai

mere baal-bachchon ka pyar shamil hai
siwae is ke ki jin logon ne mujhe be-nam

jaziron mein le jaane ka wada kiya tha
wo ab kahin dikhai nahin diye

to ab main kis se kahun
ki kahne sunne wala zindagi ka nizam to baqi nahin raha

awae us ke ki mitti kah rahi hai
ki wo an-ginat ped paude tab ugaegi

jab main yahan hunga hi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close